INTRODUCTION :-
Year 1972, Carl Sagan (NASA Space Scientist) ke dimag me ghyal aya ki agar future me hmara planet kisi vjah se destroy ho gya to human civilization ke bare me dusri duniya ko kaise pta chlenga ki is universe me koi or bhi civilization rehte hai, to isiliye unke dimag me ek idea aya ki kyu na 2 aise spacecraft banaye jaye jo ki sadiyo tak space ki yatra kare or hame space ki jankari bhejta rhe.
Bad me Voyager 1 or Voyager 2 spacecraft banane ki tyari shuru hui, is Project ko bnane me 1 Billion Dollar ki lagat ane wali thi, is spacecraft ko bnane ke liye ek bahut hi high qualified team bnayi gyi. Carl Sagan ne socha ki probe ke sath hme ek Phonograph Record bhi bhejna chahiye jisme hmari sabhyeta ke bare me sari jankari ho, or iske illava is record me bahut sari sanskritiyo ke sangeet bhi dale gye the, or is tarha Voyager ka Golden record tyar hua. Golden record me uske istmal karne ke sare nirdesh print kiye hue the, Golden record me total 115 Photo’s thi jisme insan ke rehn – shen or iske ilava usme dharti or surye mandal ki bhi bahut si jankariya available thi.
Augest 1977, Crew ki 5 saal ki mehnat or planning ke bad ab Voyager 1 aur Voyager 2 Earth se safalta purwak launch hone ko tyar the.
Launching ke 2 saal bad yani 1979, me Voyager 1 Jupiter se rubaru hua, jabki Voyager 2 ko jupiter me pahuchne me abhi 4 mahine baki the, phir voyager 1 ne Jupiter ki tasveer bhejna start kar diya or ye images bahut hi high quality ki thi, per camera me colour detector na hone ke kharan photo’s black & white thi per bad me software se photo ko cloured bna diya gya. Voayger 1 ne jupiter ke barre me bahut si jankari dharti per bheji.
Ab Jupiter ko chodne ke baad, Voyager 1 ko shani (planet saturn) ki taraf bhadna tha, Voyager 1 ko 1 saal Lga saturn tak pahunchne me, vha se bhi voyager 1 ne saturn ki bahut si jankariya dharti per bheji.
Voyager 2 1988 me Uranus pahucha, jiske barre me insan ko bahut hi mamuli si jankari thi. Voyager 2 ne Uranus ki radiation belt ke barre me or uranus ke marinda chanderma or 10 chote chand ki ghoj karne wala Voyager 2 pehla insani spacecraft tha.
Iske baad 1989 me Voyager 2 Neptune planet ke pass pahuch gya, Vha per jaker Voyager 2 ne neptune ka chanderma Tritan ki ghoj ki, Tritan per Nitrogen gas ke gyser the or aise bahut si jankariya is spacecraft ne dharti per bheji.
Sari jankari collect karne ke baad abb ye dono spacecraft hmare solar system ko alvida keh chuke the aur apna universe ka safar me agge badh gye the.
14 February 1990 me voyager spacecraft ne apne camera ka muh dharti ki taraf ghumaya or iski ek tasveer dharti per bheji jisme hmari dharti sirf ek nilli bindu ke saman dhik rahi thi. Isper Dr. Carl Sagan ne ek book bhi publish ki jiska name tha “THE PALE BLUE DOT” joki 1994 me release ki gyi thi. Is book me unhone likha ki yeh nilla bindu hmara ghar hai, yeh vo jgah hai jha ham rehte hai, iska ilava unhone World War 2 ke bare me bhi bahut si bate likhi thi is book me.
PROBLEMS IN VOYAGER SPACECRAFT :-
Apne safar me voyager me bahut sari problems ayi jaise ki NASA ko Spacecraft ke bich safar me kayi bar Re-programme kiya gya. Din-b-Din voyager ke signals bhi weak hote ja rhe the, signals ko pakhadne ke liye Scientist ko bahut mahnet karni padhti thi, Voyager spacecraft ki battery bhi ab kam electricity bnane lagi hai, space scientist ki mane to 2040 tak ham voyager se sampark kho denge or yeh space me kahi gum ho jayenga. Voyager 1 per day 14 Lakh 78 thousand KM travel karta hai hmari earth se.
“THANKS FOR READING THIS POST”
nice information sir
generic sildenafil 20 mg cost